Ka Dekhu Main Chand - II Lyrics | Ishq Click

                        ye tan man ye jivan, sab kuch marke 
baithi hu ha tum par ye dil haarke
ye tan man ye jivan, sab kuch marke 
baithi hu ha tum par ye dil haarke
ka dekhu main chand piya re
ka dekhu main chand piya re, tu jo nazar na aaye

poonam rain amavas laage
poonam rain amavas laage, pal pal ji ghabraaye
ka dekhu main chand piya re, tu jo nazar na aaye

meri subah sham sab tu hai piya
meri chahato ka rab tu hai piya
mose dur tu kab hai piya, piya o re piya
sanjh tumhi se bhor tumhi se, bandhi man ki dor tumhi se

parchhai apne hi tan se 
parchhai apne hi tan se isbidh sang chhudaye
ka dekhu main chand piya re, tu jo nazar na aaye

mose mohe chhin gaye tum, kahe aise nithur huye tum

bhaag kisi bairi ko rama
bhaag kisi bairi ko rama ye din naa dikhalaye
ka dekhu main chand piya re, tu jo nazar na aaye
ye tan man ye jivan, sab kuch marke 
baithi hu ha tum par ye dil haarke
ye tan man ye jivan, sab kuch marke 
baithi hu ha tum par ye dil haarke

nahi khabriya man basiya ki, jaan na lele tees jiya ki

sapne milan ke ban gaye dhuni 
sapne milan ke ban gaye dhuni birha agan jalaaye
ka dekhu main chand piya re
ka dekhu main chand piya re, tu jo nazar na aaye

khojat hai do pagal naina, kho gayi nindiya rutha chaina 

kaise dhiraj rakhe manwa
kaise dhiraj rakhe manwa, kaase peer sunaye