Saajan Bin Neend Na Aawe Lyrics | Munimji

                        
                        Saajan bin neend na aawe
Saajan bin neend na aawe
Birah satawe tujh bin mohe
Kachhu na bhaye
Kaise kahu main kaise kahu main
Kaise kahu main
Saajan bin neend na aawe

Karke thode din ki preet
Man se ruthe man ke meet
Karke thode din ki preet
Man se ruthe man ke meet
Sukh ke swapan dukh ke geet
Kaise kahu main kaise kahu main
Kaise kahu main
Saajan bin neend na aawe

Tan ko fuke man ki aag
Man ko fuke virah rag
Tan ko fuke man ki aag
Man ko fuke virah rag
Apni apni sab ke dhar
Kaise kahu main kaise kahu main
Kaise kahu main
Saajan bin neend na aawe
Saajan bin neend na aawe
Birah satawe tujh bin mohe
Kachhu na bhaye
Kaise kahu main kaise kahu main
Kaise kahu main
Saajan bin neend na aawe.