Abhi To Haath Me Jaam Hai, Tauba Kitna Kaam Hai Lyrics | Seeta Aur Geeta

Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : G P Sippy , R D Burman
Singer : Manna Dey
                        
                        abhi to haath me jaam hai
tauba kitna kaam hai
abhi to haath me jaam hai
tauba kitna kaam hai
kabhi mili fursat to, bhai dekha jayega
duniya ke baare me socha jayega
abhi to haath me jaam hai

jeene se pahele kaun mare
fikar subah ki kaun kare
jeene se pahele kaun mare
fikar subah ki kaun kare
ghum ki raat se kaun dare
abhi suhani shyam hai
abhi suhani shyam hai, tauba kitna kaam hai
kabhi mili fursat to bhai dekha jayega
duniya ke baare me socha jayega
abhi to haath me jaam hai

thaka hua tha main jara
jara sa sach me jhuth bhara
thaka hua tha main jara
jara sa sach me jhuth bhara
utha ke botal ghoot bhara
to ab jara aaram hai
to ab jara aaram hai, tauba kitna kaam hai
kabhi mili fursat to bhai dekha jayega
are duniya ke baare me socha jaayega