Tum Bhi Tanha The Hum Bhi Tanha The Lyrics | 1920 - Evil Returns

                        
                        tum bhi tanha the hum bhi tanha the milke rone lage
tum bhi tanha the hum bhi tanha the milke rone lage
ek jaise the dono ke gum dawa hone lage
tujhme muskurate hai, tujhme gungunate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai
tere hi khyalo me dube dube jaate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai

thode bhare hai hum, thode se khali hai
tum bhi ho uljhe se, hum bhi sawali hai
kuch tum bhi kore ho kuch hum bhi saare hai
ek aasmaan par hum do chand aadhe hai
kam hai jami bhi thodi kam aasmaan hai
lagta adhura tum bin har jagah hai
apni har kami me hum ab tujhe hi paate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai
jitni ye viraani hai tujhse hi sajaate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai

do raaz milte hai humraaj bante hai
sannaate aise hi aawaaz bante hai
khamoshi me teri meri sadaaye hai
meri hatheli me teri duaaye hai
ik saath tera ho to ssu manjile ho
tanhayi teri meri mahfile ho
hum teri nigaaho se khud me jhilmilate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai
tujhse apni raato ko subah banaate hai
khudko tere paas hi chhod aate hai