Saare Jahan Se Achha Lyrics | 332 Mumbai To India

                        
                        Saare jahaan se accha
Hindustaan hamaara
Ham bulbulain hai is ki,
Yeh gulsitaan hamaara
Yeh gulsitaan hamaara

Ghurbat mein hon agar ham,
Rehta hai dil watan mein
Samjho wahin hamain bhi,
Dil hai jahaan hamaara

Parvat woh sab se ooncha,
Hamsaaya aasmaan ka
Woh santri hamaara,
Woh paasbaan hamaara
Saare jahaan se accha
Hindustaan hamaara
Ham bulbulain hai is ki,
Yeh gulsitaan hamaara
Yeh gulsitaan hamaara

Godi mein khelti hain
Is ki hazaaron nadiyaan
Gulshan hai jis ke dam se
Rashk e jahaan hamaara
Mazhab nahi sikhaata
Aapas mein beyr rakhna
Hindi hain ham watan hai,
Hindoostaan hamaara
Hindi hain ham watan hai,
Hindoostaan hamaara
 
Saare jahaan se accha
Hindustaan hamaara
Ham bulbulain hai is ki,
Yeh gulsitaan hamaara
Yeh gulsitaan hamaara.