Kyo Ajkal Aksar Kahi Ud Jata Hai Lyrics | 7 1/2 Phere

                        
                        kyo aajkal aksar kahi ud jata hai ye man mera
kyo aajkal aksar kahi ud jata hai ye man mera
mujhe chhod kar wo kiske ghar ud jata hai ye man mera
din kaise gujre jab ye pata ho, din kaise gujre jab ye pata ho
aane hi wali hai sapno ki manjil, manjil pe koi apna milega
manjil pe koi apna milega, tanha phir to yu rahega nahi dil
pahle se hi pane ko wo manjil chala ye man mera
kyo aajkal aksar kahi ud jata hai ye man mera
mujhe chhod kar wo kiske ghar ud jata hai ye man mera

chutega aangan apne sabhi ye, chutega aangan apne sabhi ye
kahta hai ham ho jayenge paraye
itni khusi si kyu sab ko hai phir
itni khusi si kyu sab ko hai phir man me sada ye hame samjhaye
uljhan meri dekhe magar kuch na kare ye man mera
kyo ajkal aksar kahi ud jata hai ye man mera
mujhe chhod kar wo kiske ghar ud jata hai ye man mera
kyo ajkal aksar kahi ud jata hai ye man mera
mujhe chhod kar wo kiske ghar ud jata hai ye man mera