Jo Main Jaanati Unake Liye Lyrics | Aah

                        jo main jaanti unke liye jo main jaanti unke liye
mere dil me kitna pyar hai
itna pyar main karti kyun itna pyar main karti kyun
jo main jaanti unke liye

jo main soch samajh ke chalti, had se baat gujarti kyun 

anjane naino se ulajh ke jeete ji main marti kyun

jiteji main marti kyun
itna pyar main karti kyun jo main jaanti unke liye 
mere dil me kitna pyar hai
itna pyar main karti kyun itna pyar main karti kyun
jo main jaanti unke liye
 
hardam ulajhi lat se uljhu hardam ulajhi lat se uljhu
kajal pheru akhiyan me kajal pheru akhiyan me
wo jo na aate to main itna banti aur sawarti kyun

banati aur sawarti kyun
itna pyar main karti kyun jo main jaanti unke liye
mere dil me kitna pyar hai
itna pyar main karti kyun itna pyar main karti kyun 
jo main jaanti unke liye

haaye re mitha dard jigar ka, haaye re pehla pehla pyar

jo main jaanti ye sab hoga, iss mushkil me padti kyun 

iss mushkil me padti kyun 
itna pyar main karti kyun ho jo main jaanti unke liye 