Tha Woh Bhi Kya Zamaana Lyrics | Aaj Ka Mahaatma

                        
                        yaad hai din yaar se milne ki jab aati thi raat
are jagte rahte the do dil or so jati thi raat
haye hizr ke sikwe karte rote rote has padte
der tak diwano ki si baate karte rahte hum
aahe tha wo bhi kya jamana khuda ki kasam
aahe tha wo bhi kya jamana khuda ki kasam
sabse thi unki pahchan dur ki hamse tha
dostana khuda ki kasam
aahe tha wo bhi kya jamana khuda ki kasam

na pucho haye haye na pucho ki aafat ki thi ek nisani
hamari najar or kisi ki jawani hamari najar or kisi ki jawani
mulakat ko har jatan kar gujarte
magar dil dhadkate jamane ke dar se
magar dil dhadkate jamane ke dar se
andheri gali unchi nichi dagar churaye badan or bachaye najar
are har kadam thokre khake chalna
are lagta tha kya suhana khuda ki kasam
are lagta tha kya suhana khuda ki kasam
aahe tha wo bhi kya jamana khuda ki kasam

idhar aa haye haye idhar aa hasina tujhe hum bataye
yahi husan tha or yahi thi adaye
isi julf ki chaw me ji chuka hu
yahi husan tha or yahi thi adaye
isi julf ki chaw me ji chuka hu
the aise hi lab jinka ras pi chuka hu
the aise hi lab jinka ras pi chuka hu wo surat abhi tak yaad hai
jise mera ishq barbad hai koi bhula de magar mere waste
are muskil hai bhul jana khuda ki kasam
are muskil hai bhul jana khuda ki kasam.