Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Barati Banake Lyrics | Aan Baan

                        bade bhai ki baraat mein bhai naachate gaate chalate hai
aap naachenge nahi
kyun nahi laala ji main sirf naachunga nahi gaayunga bhi
sarkaar

mat puchho jo khushi ke maare aaj hai apna haal
aankhon mein chhaayi hai masti behek rahi hai chaal
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banke

aaj duniya hai hamaari aaj duniya hai hamaari chalenge tanke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake

pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehre mein
hamne apne armaano ke phul sajaaye sehre mein
pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehre mein
hamne apane armaano ke phul sajaaye sehre mein
dil ke gulshan se haay dil ke gulshan se laaye hai jo chun chunke
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake

waha talak khushiya hi khushiya najar jaha tak jaati hai
khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai

isi din ko haay isi din ko gujaare din gin ginake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake

khushi mein dhadkan tej ho gayi tej karo lay baaje ki
apni manjil tak aa pahunchi ghodi dulhe raaje ki

ho dil jhume haay dil jhume shehnaayi ki sadaayein sunake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake
ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake

aaj duniya hai hamaari chalenge tan ke