Indian Film History

Saaf Karo Insaf Karo Lyrics

From Aashirwad (1968)

Lyricist
Gulzar
Duration
9:59
Suniye Aaaaaa aaaaaa aaaaaaa aaa aaa aaaaaaaa Saaf karo Saaf karo insaaf karo Saaf karo insaaf karo Bhai bhool bhulaiyyaan maaf karo Bhai bhool bhulaiyyaan maaf karo Hai ek paheli badi naweli Hai ek paheli badi naweli Jo boojhe to baney kalandar Jo boojhe to baney kalandar Aur na boojhe to Bandar bandar bandar Kai baras to kabhi na aaye Arre kai baras to kabhi na aaye Aur aaye to phir kabhi na jaaye Hai aaye to phir kabhi na jaaye? Hoo kaato phenko Phir aa jaaye Boojhe koi ye batlaaye Kai baras to kabhi na aaye Aaye to phir kabhi na jaaye Kaato phenko phir aa jaaye Kaato phenko phir aa jaaye Arre, aisa lagta hai jaise hum log gadhon ke gaaon mein aa gaye Hahaha Chachaa, ye to gaali de rahe hain Arre re re re Gadhe nahin, soorten to dekho, ullu aur bandron ke gaaon mein aa gaye hain Shivnath, daadhi to nahin Daadhi? Haan kaato, phenko phir aa jaaye Kai baras tak. . . Arre haan Haan daadhi Ha ha ha ha ha Kyun chachaa, aakhir tinkaa milaa na daadhi mein? Hooo Yaad aayaa haan Radha naam ki ladki thi ik Oonche kad ki Tumko us ki baat sunaaun Arre kyaa kehti thhi Kyaa aaaa karti thhi Aaaaaaa aaaaaa aaaaaaaa Gaagar mein jab agni bhar ke Sar pe rakh li, rakh li Aji oo sar pe rakh li, rakh li Ho jamuna paaon mein pad ke boli Tadpe machhli machle Aji oo tadpe machhli machle Ho jitni baar mujhe phoonkoge Aaag lagaa ke Utni baar utthegi tan se Dhuen ki badli badli Aji oo dhuen ki badli badli Kaun thi raadha Kaun thi jamuna Kaun thi raadha Kaun thi jamuna Ab ki baar bataao to jaanen Mirza saab ka lohaa maanen Kyun kalandar Banogey bandar Chullu bhar ka peena ho to laaun samandar Kyun kalandar Banogey bandar Gaagar mein jab agni bhar ke Sar pe rakh leee Sar pe rakh leee Jamuna paaon mein pad ke boli Tadpi machhli Tadpi machhli Jitni baar mujhe phoonkoge aag laga ke Jitni baar mujhe phoonkoge aag laga ke Utni baar utthegi tan se Utni baar utthegi tan se Dhuen keee Badli badli badli Ab iska jawaab to do Kaan pakad kar Naak pe donon ghutne tekey Uthh kar do aankhon mein Aankhen daal ke dekhe Arre kaan pakad kar Naak pe donon ghutne tekey Uthh kar do aankhon mein Aankhen daal ke dekhe Kyun kalandar Banogey bandar Chalegaa chullu Ya laaun samandar Saari jawaani koi na aaya aankh milaane Aaj budhaape mein koi kaise pehchaane Kaan pakad kar Naak pe jab wo ghutne tekey Kaun, kaun Kaan pakad kar Naak pe jab wo ghutne tekey Tab aankhon par chadh ke chashmaa aankh to dekhe Achha ab ke tum sab meri baat bataao Aur na samjho tum to saare gobar khaao Ek dafaa ek dost ke ghar pe socha thaa wo ghar pe hogaa Ek dafaa ek dost ke ghar pe socha thaa wo ghar pe hogaa Jaa kar dekha Dost nahin hai Dost nahin hai Dost nahin hai Us dost ki sunder patni ko jis haal mein paaya Taubaa taubaa dekha aur pasinaa aayaa Maan ko bhi ek baar yoon hi dekha thaa lekin Behan ko dekh ke mushkil se dil ko samjhaaya Aisi kitni sunder sunder naariyaan dekhi bhaiyyaa Aisi kitni sunder sunder naariyaan dekhi bhaiyyaa Lekin Apni patni ko us haal mein dekh na paayaa Apni patni ko us haal mein dekh na paayaa Ab kaho kalandar Haal bataao Kaho kalandar haal bataao Varna langdi chaal dikhaao Haa haa haa haa haa haa haa Chachaa mein to inhen bandariyaa nahin kahoonga, kyun Kyun Bandariyaa naaraaz ho jaayegi Ha ha ha ha ha ha Chheee chheee chheee chheee Jaanta hoon jo soch rahe ho Chheee chheee chheee chheee Jaanta hoon jo soch rahe ho Naari ka wo roop jo tum sab khoj rahey ho Chheee chheee chheee Jaanta hoon jo soch rahe ho Naari ka wo roop jo tum sab khoj rahey ho Ab suno jawaab Maan ko dekha behan ko dekha dekhi bhabhi achhi Maan ko dekha behan ko dekha dekhi bhabhi achhi Lekin Apni patni ko dekha hai kis ne Vidhwaa Vidhwaa Sachi sachi sachi Saaf kiyaa Saaf kiyaa Saaf kiyaa insaaf kiyaa Saaf kiyaa insaaf kiyaa Bhai bhoolne waalon ko maaf kiyaa Bhai bhoolne waalon ko maaf kiyaa.

More songs from Aashirwad

Saaf Karo Insaf Karo Lyrics - Aashirwad (1968) | Indian Film History