Dhire Se Aaja Ri Ankhiyan Me (Part 2) Lyrics | Albela

                        
                        dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
chupke se nainan ki bagiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

o lekar suhane sapno ki kaliya 
sapno ki kaliya 
lekar suhane sapno ki kaliya 
aake basa de palkon ki galiya 
palko ki chhoti si galiyan me 
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

o jagti hai ankhiya soti hai kismat
jagti hai ankhiya soti hai kismat
dushman garibo ki 
hoti hai kismat, soti hai kismat
dam bhar garibo ki kutiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja

ho ankhen to sabki hain ek jaisi
ankhen to sabki hain ek jaisi
jaisi amiro ki, garibo ki waisi
garibo ki waisi
kismat ke maaru ki ankhiyan me 
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja ri ankhiyan me
nindiya aaja ri aaja dhire se aaja
dhire se aaja