Duniyaa Men Nahi Zamaanaa Sach Kahataa Hai Lyrics | Amber

                        
                        duniya me, duniya me
duniya me nahi koi yaar wafadaar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai 
yaha karna kisi se pyaar hai bekaar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai 

dukh-dard kaa hai baazaar ye sansaar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai 
milna hai yaha dushwaar dil ko karaar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai 

kar gaye wo bhi hamse kinara jinko basaya man me
pyaar ki baazi jit saka hai koi na is jiwan me 
koi na is jiwan me 
hoti hai yaha har baar dil ki haar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai 

kismat ne majbur banakar chhin liya sukh hamse
kaaya is qaid me aa kar kaun bacha hai gam se 
kaun bacha hai gam se 
chalte hai yaha par waar gam ke hazaar
zamana sach kahta hai, zamana sach kahta hai