Ae Jane Chaman Tera Gora Badan Jaise Khilta Hua Gulab Lyrics | Anmol Moti

Lyricist : Rajendra Krishan
Music Director : S D Narang , Ravi
Singer : Mahendra Kapoor
                        
                        ae husne bekhabar tujhe takne ko ek najar
jhukata toh hoga roj tere ghar pe mehatab
ae jane chaman tera gora badan jaise khilata hua gulab
jalim teri jawani, kayamat tera shabab

jalim teri jawani, kayamat tera shabab, ae jane chaman

mal mal ke jism itana bhi pani me mat naha

dar hai kahi yeh pani bhi ban jaye na sharab
ae jane chaman tera gora badan jaise khilata hua gulab
jalim teri jawani, kayamat tera shabab, ae jane chaman

bago ke aas pas bhi jana naa bhul ke
bago ke aas pas bhi jana naa bhul ke
hoga bhari bahar me phulo ka ji kharab
ae jane chaman tera gora badan jaise khilata hua gulab
jalim teri jawani, kayamat tera shabab, ae jane chaman

tujhko banane wala bhi sau koshishe kare

la naa sakega dhundh ke tera koi jawab
ae jane chaman tera gora badan jaise khilata hua gulab
jalim teri jawani, kayamat tera shabab
ae jane chaman tera gora badan jaise khilata hua gulab
jalim teri jawani, kayamat tera shabab, ae jane chaman.