Indian Film History

Raaz E Dil Unse Lyrics

From Apna Banake Dekho (1962)

Music
Ravi
Lyricist
Asad Bhopali
Duration
3:22
Raaz e dil unse Chhupaya na gaya Raaz e dil unse Chhupaya na gaya Pyaar ki aag Kuch aisi bhadki Pyaar ki aag Kuch aisi bhadki Ek shola bhi Dabaya na gaya Ek shola bhi Dabaya na gaya Raaz e dil unse Chhupaya na gaya Pahle pahle to mujhe Wo samajh bhi na sake Dil ko tadpate rahe Mujhako tarsate rahe Aankh se aankh Kai baar mili Aankh se aankh Kai baar mili Dil se dil phir bhi Milaya na gaya Pyaar ki aag Kuch aisi bhadki Ek shola bhi Dabaya na gaya Raaz e dil unse Chhupaya na gaya Aankh milate hi jhuki Baat hotho pe ruki Berukhi pyaar bani Jeet bhi haar bani Kar gai kaam Mohabbat ki nazar Kar gai kaam Mohabbat ki nazar Unse daaman bhi Bachaya na gaya Pyaar ki aag Kuch aisi bhadki Ek shola bhi Dabaya na gaya Raaz e dil unse Chhupaya na gaya.

More songs from Apna Banake Dekho