Indian Film History

Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics

From Atmaram (1979)

Duration
6:15
Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Jo dil me aa gayi hai aaj Hum vo kar hi gujarenge Khabar kya thi ki Apne bhi sitare Aise bigadenge Khabar kya thi ki Apne bhi sitare Aise bigadenge Ki jo puja ke kabil hai Vo yu badalenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Tumhari ek na manenge Karenge aaj man mani Bahut tarsaya hai tumne Nahi ab aur tarsenge Sataya to nahi karte Kabhi kismat ke maro ko Kisi ki jaan jayegi Kisi ke arman nikalenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Jo dil me aa gayi hai aaj Hum vo kar hi gujarenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Manaya tumko kitni baar Lekin tum nahi mane To ab majbur hokar hum Sararat per bhi uthrenge Hakikat kya hai Ye pahle bata dete to acha tha Kudh apne jaal se hi hum Na jane kaise hum nikalenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Kayi din baad fir ye saaj Ye singaar paya hai Nahi malum tha ki aap yu Inkar kar denge Tumhe kaise bataye Kya humare sath gujari hai Tumhare khwab tutenge Agar sach baat kah de Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Jo dil me aa gayi hai aaj Hum vo kar hi gujarenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge Jo dil me aa gayi hai aaj Hum vo kar hi gujarenge Tumhare bin gujare hai kai din Ab na gujarenge.

More songs from Atmaram

Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics - Atmaram (1979) | Indian Film History