Diya Tune Naiya Ko Kaisa Sahara Lyrics | Aurat Teri Yehi Kahani

                        
                        diya tune naiya ko kaisa sahara, diya tune
diya tune naiya ko kaisa sahara
idhar na bhanwar hai udhar na kinara
idhar na bhanwar hai udhar na kinara
diya tune naiya ko kaisa sahara, diya tune

idhar maa ki mamta se bharpur dil hai
idhar maa ki mamta se bharpur dil hai
udhar farz aisa ke majbur dil hai
udhar farz aisa ke majbur dil hai
idhar dil ki duniya udhar duniyadari
idhar bhi udhar bhi mukaddar ne mara
idhar na bhanwar hai udhar na kinara
diya tune naiya ko kaisa sahara, diya tune

agar mukuraye to roti hai aankhe
agar mukuraye to roti hai aankhe
ke chun chun ke moti piroti hai aankhe
ke chun chun ke moti piroti hai aankhe
khushi dene wale diye tune aansu
chamakte hi tuta hai kismat ka tara
idhar na bhanwar hai udhar na kinara
diya tune naiya ko kaisa sahara
kaisa sahara