Tumhe Aur Kya Du Mai Dil Ke Sivaye Lyrics | Ayee Milan Ki Bela

                        
                        tumhen aur kya duun main dil ke sivay 
tum ko hamari umar lag jaye 
tum ko hamari umar lag jaye
tumhen aur kya duun main dil ke sivay 
tum ko hamari umar lag jaye 
tum ko hamari umar lag jaye

muraden ho puri, saje har tamanna
muhabbat ki duniya ke, tum chand ban na
baharon ki manzil pe, hasana hasana
khushi mein hamari bhi, awaz sunna
kabhi zindagi mein koi gham na aye
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye
tumhen aur kya dun main dil ke sivay 
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye

mujhe jo khushi hai, tumhen kya bataun
bhala dil ki dhadkan ko, kaise chhipaun
kahin ho na jaun, khushi se main pagal
tumhen dekh kar, aur bhi muskuraun
khuda dil jalon ki, nazar se bachaye
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye
tumhen aur kya dun main dil ke sivay 
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye

Sitaaron se uncha ho, rutaba tumhaara
Bano tum har ik zindagi, ka sahaara
Tumhen jis se ulfat ho, mil jaaye tum ko
Samajh lo hamaari, du’a ka ishaara
Muqaddar tumhaara, sada jag magaaye
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye
tumhen aur kya dun main dil ke sivay 
tum ko hamari umar lag jaye
tum ko hamari umar lag jaye