Bhagwan Bhagat Binaa Tu Lyrics | Bada Bhai

Lyricist : Ehsan Rizvi
Music Director : K Amarnath , Naushad
Singer : Asha Bhosle
                        
                        bhagwan bhagwan bhagat bina tu pathar hai bejan
tu to gunga bahara hai aur nirdayi hai insan bhagwan
o bhagwan o bhagwan kaisi hai teri shan
o bhagwan o bhagwan kaisi hai teri shan o bhagwan

hath ka kangan haar gale ka mujhse china jaye
bol re nyay ki murat kaisa ye anyay
mang rahi hu janam janam ke pooja ka vardaan
o bhagwan o bhagwan kaisi hai teri shan

ghar ke diye se ghar ko jalaye jag ki ulati taar
phul samajh kar jisko pale bankur re sambhal
hari bhari phulwari man ki hari bhari phulwari man ki
kyu kar di sunshan
o bhagwan o bhagwan kaisi hai teri shan

band huyi jivan ki rahe ujad gaya sansar
apne man par bas nahi chalta tujh par kya adikar
tu bhi aaj praya ban kar tu bhi aaj praya ban kar
hasta hai bhagwan
o bhagwan o bhagwan kaisi hai teri shan
o bhagwan o bhagwan