Mai Kyun Daman Ko Phailau Lyrics | Bade Dilwala

                        mai kyu daman ko phailau mai kyu koi duwa mangu
tujhe jab pa liya maine khuda se aur kya mangu
bant raha tha jab khuda sare jahan ki rehmate
apne khuda se mang li maine teri wafa sanam
bant raha tha jab khuda sare jahan ki rahmate

meri wafa ke saaj me gunj rahi hai le teri

mai bhi hu teri jane jaa meri wafa bhi hai teri
tuhi jo mil gaya mujhe tuhi jo mil gaya mujhe
chahiye aur kya sanam
bant raha tha jab khuda sare jahan ki rahmate
apne khuda se mang li maine teri wafa sanam
kash mai apni jindagi pyar me yu gujaar du

waqt padhe to dil ke sath jan bhi apni var du
shayad isi tarah se ho shayad isi tarah se ho
pyar ka hak adaa sanam
bant raha tha jab khuda sare jahan ki rahmate
apne khuda se mang li maine teri wafa sanam
log yaha tere mere pyar ko aajmayenge
log yaha tere mere pyar ko aajmayenge
tujhko alag satayenge mujhko alag rulayenge
apna magar hai faisla apna magar hai faisla
honge naa hum juda sanam