Ek Baar Dharti Par Aakar Dekh Zara Bhagwan Lyrics | Banjarin

                        
                        ek baar dharti par aakar dekh jara bhagwan
tere hatho aaj hua bardad tera insan
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
ek baar dharti par aakar dekh jara bhagwan
tere hatho aaj hua barbad tera insan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan

julm kiya kyo palanhare
chita bani hai dware-dware
julm kiya kyo palanhare
chita bani hai dware-dware
man ki godi aaj bani hai
ek jalta shamshan
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan2)

bichhad gaya hai bahan se bhai, dulhan ki tuti shahnai
bichhad gaya hai bahan se bhai, dulhan ki tuti shahnai
haye pita ne marte dekha
haye pita ne marte dekha apna putra jawan
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan

mandir ki ro rahi divare, hum sab ki ab yahi pukare
mandir ki ro rahi divare, hum sab ki ab yahi pukare
wahi hai dharti wahi gagan hai
wahi hai dharti wahi gagan hai kaha tera iman
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan

kaise ho tum khevanhare, kashti dubi yahan kinare
kaise ho tum khevanhare, kashti dubi yahan kinare
kitne nirdosho ke nikle
kitne nirdosho ke nikle tadap tadap ke pran
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan

tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa
tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa
badal dal ab naam tu apna
badal dal ab naam tu apna o re daya nidhan
dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan
aakar dekh jara bhagwan