Krodh Na Karna Re Sansari Lyrics | Bansari Bala

Lyricist : Pandit Phani
Music Director : Nanubhai Vakil , Kamal Mitra
Singer : Manna Dey
                        
                        krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari
sau sau ghar ek sath jalati krodh ki choti si chingari
krodh na karna re sansari
krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re
krodh na karna re sansari
krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re

iske bas me bhai bhai ko dushman ban lalkare
baap ke muh par beta bole patni ko pati mare
krodhi ka ghar narak ki jwala
krodhi ka ghar narak ki jwala
jalte nar aur nari re jalte nar aur nari
krodh na karna re sansari
krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re

krodh me aakar lade padosi desh ka ho batwara
apne pal me bane paraye bikhre kunba sara
phul phul kata ban jaye phul phul kata ban jaye
ujad jaye phulwari re ujad jaye phulwari
krodh na karna re sansari
krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re
krodh na karna re sansari