Kis Naam Se Pukaru Kya Naam Hai Lyrics | Barati

Lyricist : Tanvir Naqvi
Music Director : J K Nanda , Roshan
Singer : Asha Bhosle
                        
                        kis naam se pukaru kya nam hai tumhara kya nam hai tumhara

ek dusre ko hum tum jab jante nahi the pahchante nahi the 

tum meri jindagi ka ban gaye sahara kya nam hai tumhara
kis naam se pukaru kya nam hai tumhara kya nam hai tumhara

aaye ho tum kaha se ho kis nagar ke wasi surat hai aasna si

hai har najar tumhari benam sa ishara kya nam hai tumhara
kis naam se pukaru kya nam hai tumhara kya nam hai tumhara

hum ho gaye tumhare ab chhod ke na jana dil tod ke na jana

sadme na sah sakega najuk hai dil hamara kya nam hai tumhara