Teree Dooniya Me Nahi Koyi Hamara Apna Lyrics | Barood

                        
                        teri duniya me nahi koyi hamara apna
besaharo ko zara de de sahara apna, de de sahara apna
teri duniya me nahi koyi hamara apna
besaharo ko zara de de sahara apna, de de sahara apna

dil ke manzar me nigaho me ujale hai tere
tere godi ke ye bacche hai jo khale hai tere
tu hi himmat de chahane wale hai tere
tu hi apna le hame gaate hai teri rachana
besaharo ko zara de de sahara apna, de de sahara apna

roz lete hain tera naam jiye jate hain
pyas lagati hai toh aansu hi piye jate hain
ham bure hi sahi lekin tere kehlate hain
tu daya ki hai nadi tu hai kinara apna
besaharo ko jara de de sahara apna, de de sahara apna

rup lakho hain tere hu koyi majbur nahi
koyi zarra nahi jisme ke tera nur nahi
apne bando se kisi hal me tu dur nahi, tu dur nahi
tune har kam jo bigada woh sanwara apna
besaharo ko jara de de sahara apna, de de sahara apna

aaye tufan jo garibo ko mitane ke liye, aaye tufan
aaye tufan jo garibo ko mitane ke liye
aaye mushkil jo yatimo ko satane ke liye
apne bachcho ko tu aa jana bachane ke liye
apne bachcho ko tu aa jana bachane ke liye
bachane ke liye, bachane ke liye
apne bachcho ko tu aana bachane ke liye
apne bachcho ko tu aana bachane ke liye