Unhe Apna Bana Lena Mujhe Dil Se Bhula Dena Lyrics | Bedardi

Lyricist :
Music Director : Mukesh , Roshan
Singer : Geeta Dutt
                        
                        unhe apna bana lena
mujhe dil se bhula dena
jaha apna basa lena
meri duniya mita dena
unhe apna bana lena

ho nazar milna nazar ka ek dhokha tha
samjh lena, nazar ke jis tarah gire aansu
mujhko gira dena
jaha apna basa lena
meri duniya mita dena
unhe apna bana lena

mai kadmo pe giru to
mujhko raste se hata dena
mai gam ki daasta chhedu to
sunkar muskura dena
jaha apna basa lena
meri duniya mita dena
unhe apna bana lena

agar meri tarha tumko bhi
gam bhane lage ek din
agar meri tarha tumko bhi
gam bhane lage ek din
gam bhane lage ek din
to mujhko yaad karna
aur do aansu baha lena
jaha apna basa lena
meri duniya mita dena
unhe apna bana lena