Tera Pyar Mujhko Bula Raha Lyrics | Been Ka Jadoo

Lyricist : B D Mishra
Music Director : NRajesh , S N Tripathi
Singer : Suman Kalyanpur
                        
                        tera pyar mujhko bula raha
kaise aau haye mai kya karu
mera tan yaha mera man vaha
na karar aaye mai kya karu
tera pyar mujhko bula raha

kise man ki peer bataun mai
yaha koi mera na meet hai
meri har tadap hai tere liye
meri jindagi teri bhikh hai
meri jindagi teri bhikh hai
khadi rou teri pukar sun
khadi rou teri pukar sun
meri jaan jaye mai kya karu
tera pyar mujhko bula raha

ye agan hai kaisi sulag rahi
na mai bujh rahi na mai jal rahi
yuhi adhjali si tadap rahi
ek aah dil se nikal rahi hai
ek aah dil se nikal rahi hai
ye vo aag hai jo na bujh sake
ye vo aag hai jo na bujh sake
mujhe jalaye mai kya karu
tera pyar mujhko bula raha
kaise aau haye mai kya karu
mera tan yaha mera man vaha
na karar aaye mai kya karu
tera pyar mujhko bula raha
kaise aau haye mai kya karu
mai kya karu mai kya karu.