Hasne Ki Saza Hai Rona Lyrics | Betaab

                        
                        mayus jawani dil gam ki 
kismat ki niyat thik nahi 
ab pir ki thokar kya kahiye 
manjil to kaha rasta na mila
hasne ki saza hai rona
rone ki saza malum nahi
hasne ki saza hai rona
rone ki saza malum nahi
hasne ki saza hai rona
aagaje mohabbat kar baithe
anjam zara malum nahi
hasne ki saza hai rona

dil jis se koi lagata hai
wo kyu usko thukrata hai 
wo kyu usko thukrata hai 
ye bat jo puchhi kismat se 
kismat ne kaha malum nahi 
hasne ki saza hai rona

hans hans ke aankh milai thi 
ro roke hue hum unse zuda
ro roke hue hum unse zuda
ye kaisa rog diya tumne 
hume jiski dawa malum nahi 
hasne ki saza hai rona

kuch aur nahi bas itna hi 
ulfat me hume malum hua
ulfat me hume malum hua
ya unko wafa malum nahi 
ya humko zafa malum nahi
hasne ki saza hai rona
rone ki saza malum nahi
hasne ki saza hai rona