Dastur Zamane Ka Ye Badla Nahi Jata, Hum Jaan Bhi Usko De De Jo Lyrics | Bhai Bahen

                        
                        dastur zamane ka ye badla nahi jata
hay har phool yaha pav se masla nahi jata
hum jaan bhi unko de de jo pyar ke ho rakhwale
hum jaan bhi unko de de jo pyar ke ho rakhwale
hum jaan bhi unki lele jo tirchi nazar dale
hum jaan bhi unko de de jo pyar ke ho rakhwale
hum jaan bhi unki lele jo tirchi nazar dale
hum jaan bhi unko de de

dil bhi hai humne dekhe dildar to na paya
dil bhi hai humne dekhe dildar to na paya
jis pyar ke deewane wo pyar ho na paya
bazar me jo majnu kehta hai laila laila
hum khub jante hai kitna hai dil ka maila
bachie ji zara inse bachie ji zara inse
hai man ke sade kale hum jaann bhi uski lele
jo tirchi nazar dale hum jaan bhi unko dede

dhan ke nashe me koi firta hai muskurata
dhan ke nashe me koi firta hai muskurata
khali hai jeb jiski wo bhi akad dikhata
tum laakh humse bolo chahat ki mithi boli
iss rah me na kheli humne bhi kacchi goli
humne bhi kacchi goli humne bhi kacchi goli
dil aisa nahi apna dil aisa nahi apna
dhokha bhi kahi khale hum jaan bhi uski lele
jo tirchi nazar dale hum jaan bhi unko dede
hum jaan bhi unko de de jo pyar ke ho rakhwale
hum jaan bhi unki lele jo tirchi nazar dale.