Kahan Gaye Wo Vachan Tumhaare Lyrics | Bharat Milap

                        
                        kahan gaye wo vachan tumhare
kahan ram sote ho
chaudah varsh vaytit huye
kyu nahi prakat hote ho

satyam shivam sundaram
satyam shivam sundaram

aao ram aao, aao ram aao
pran jaye par vachan na jaye
pran jaye par vachan na jaye
ye hai dhram tumhara
satyam shivam sundaram
satyam shivam sundaram
aao ram aao

tum ho bade mujhe kya lajja
baat sabhi tum par aayegi
vachan tumhari jhuth pade to
vachan tumhari jhuth pade to
raghukul reet badal jayegi
ram ram tut jayegi dhwaja dhram ki
jo tum na aaye swayam
satyam shivam sundaram
satyam shivam sundaram
aao ram aao

ho gaye din vanvas ke pure
phir bhi humare sapan adhure
phir bhi na jo darshan paunga
phir bhi na jo darshan paunga
is jwala me jal jaunga
ram ram ram ram kar pran ude to
hoga safal ye jivan
satyam shivam sundaram
satyam shivam sundaram
aao ram aao, aao ram aao
aao ram aao