Tafreeh Lyrics | Bhavesh Joshi Superhero

                        
                        Kahin pe dil ke kone mein
Button hai ek nadani ka
Daba, daba, daba
Jo lamha leke aaya hai
Bubble gum ik shaitani ka
Chaba chaba chaba

Jahan saste mein milti ho
Khushi ka wo thikana hai
Kahan, kahan, kahan
Teri hi naak ke niche
Khushi maujud hai pagle
Yahan yahan yahan

To chal zara jee le na khul ke tu
Kar zara kar le na khulke tu
Tafreeh tafreeh tafreeh..

Ladakpan ko kal ki khatir
Mat petrol ki tarah
Bacha bacha bacha
Chidak de aaj pe sara
Beparwah hungama macha macha macha

Thahake zor ke maare
Zamane ko lateefa wo
Suna suna suna
Bante jab char yaaron mein
Maza badhta hai utni hi
Guna guna guna

To chal zara jee le na khul ke tu
Kar zara kar le na khulke tu
Tafreeh tafreeh tafreeh..

Yahan

To chal zara jee le na khul ke tu
Kar zara kar le na khulke tu
Tafreeh tafreeh tafreeh..