Ye Duniya Wo Duniya Hai Lyrics | Bhavna

Lyricist : Naqsh Lyallpuri
Music Director : Devi Dutt , Jaidev
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        Ye duniya wo duniya hai jaha
Insan ki kimat kuch bhi nahi
Majbur ki chahat kuch bhi nahi
Muflish ki sharafat kuch bhi nahi
Bas jhut hai aur makari hai bas jhut hai
Bas jhut hai aur makari hai
Sachayi sazakat kuch bhi nahi
Ji chahata hai is duniya ko
Ji chahata hai is duniya ko
Mai hanste hanste thukra du
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko hanste hanste

Aye aisa gulshan hai jisme
Kaliyo ki chitaye jalti hai
Shabnam ke shishkate hai aansu
Bulbul ki sadaye jalti hai
Rota hai pyar bahro ka rota hai
Rota hai pyar bahro ka
Phulo ki wafaye jalti hai
Is gulshan me sab jalte hai
Is gulshan me sab jalte hai
Bachne ki surat kuch bhi nahi
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko main hanste
Hanste thukra du
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko hanste hanste

Har dharam yaha ka paisa hai
Iman yaha ka paisa hai
Bhagwan yaha ka paisa hai
Gita bhi yaha ki paisa hai paisa
Gita bhi yaha ki paisa hai
Kuran yaha ka paisa hai
Duniya ki hakikat paisa hai
Duniya ki hakikat paisa hai
Paise ki hakikat kuch bhi nahi
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko main hanste
Hanste thukra du
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko mai hanste
Hanste thukra du
Ji chahata hai ji chahata hai
Is duniya ko main hanste
Hanste thukra du.