Indian Film History

Jaane Wo Kaun Hain Lyrics

From Bheegi Raat (1965)

Music
Roshan
Duration
3:30
Jaane wo kaun hain Kyaa naam hai un aankhon kaa Dil pe anjaani si Tasveer banaa deti hain Bujh ke reh jaati hai Jab koi tamannaa dil mein Ik chiraag aur bhi Chupke se jalaa deti hain Jaane wo kaun hain Mujhko behlaati hain Naashaad jo hotaa hoon kabhi Neend mein rang milaati hain Jo sotaa hoon kabhi Jaagtaa hoon to haay Jaagtaa hoon to Kai khwaab dikhaa deti hain Jaane wo kaun hain Kyaa naam hai un aankhon kaa Hmm hmm hmm Hmm hmm hmm Jab bhi uthhti hain Chhalakti hain gulaabi ki tarah Der tak main to Behaktaa hoon sharaabi ki tarah Kyaa kahoon chupke se haay Kyaa kahoon chupke se Kyaa cheez pilaa deti hain Jaane wo kaun hain Roz milti hain wo Tanhaa nahin rehne detin Ye hai baat aur ki Apnaa nahin kehne detin Aur keh doon to haay Aur keh doon to Palak hans ke jhukaa detin hain Jaane wo kaun hain Kyaa naam hai un aankhon kaa Dil pe anjaani si Tasveer banaa deti hain Jaane wo kaun hain.

More songs from Bheegi Raat

Jaane Wo Kaun Hain Lyrics - Bheegi Raat (1965) | Indian Film History