Indian Film History

Sahib Lyrics

From Bhoothnath Returns (2014)

Lyricist
Munna Dhiman
Duration
4:21
Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Tera karam sab ko Mile sabki fikar rakhna Saahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Naa aadmi ki aadmi Jhele gulamiyan Naa aadmi se aadmi Maange salaamiyan Jo fark paida ho rahe Woh fark gark ho Sab ko barabar baant Ye dharti ye aasmaan Koi bhi na ho dard Mein sabki khabar rakhna Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Sab sar utha ke chal Sake sab ko ye bal mile Koi kisi awaaz ko Daata kuchal na de Yahan kaam bhi sab ko Mile aaraam bhi sab ko Mehnat kare jo aadmi Mehnat ka phal mile Har bol pe har baat Pe apna asar rakhna Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Sahib nazar rakhna Maula nazar rakhna Maula maula.

More songs from Bhoothnath Returns

Sahib Lyrics - Bhoothnath Returns (2014) | Indian Film History