Thehar O Jane Wale Lyrics | Birha Ki Raat

                        
                        thahar o jane wale 
thahar o jane wale 
ek meri fariyad sunta ja 
thahar o jane wale 

agar wada wafa ka 
nibha na sakata tha, to kiya kyun tha 
yu hi barbad karana tha 
to dil mera liya kyun tha 
jara o bewafa 
haale dile barbad sunta ja 
thahar o jane wale 

kise malum tha, saaje tamanna tut jayega 
kise malum tha, saaje tamanna tut jayega 
mohabbat ruth jayegi, nasiba fut jayega 
meri futi huyi takdeer ki 
fariyad sunta ja 
thahar o jane wale

tujhe meri kasam 
bhule se mujhko yaad mat karna 
basa kar ek nayi duniya 
use barbad mat karna 
meri ujde huye dil se  
mubaarak baat sunta ja  
thahar o jane wale 
thahar o jane wale 
ek meri fariyad sunta ja 
thahar o jane wale