Mann Jaage Lyrics | Bittoo Boss

                        
                        mann jaage saari raat mera dewaana
mann maane na yeh baat ke woh tha begana
mann jaage saari raat mera dewaana
mann maane na yeh baat ke woh tha begana
hai khud se hi khafa khafa
kya chahiye nahi pata, banwara
paaya wo na chaha, chaha wo na paya
jiske peeche bhaage woh saaya hai re saya
kya kya raste dhundhe, kya kya dukh na paya
par saya thehra saaya ke haatho me na aaya

koi subaah jo mai uthu
tujhe agar mile sukoon, banwara
ginta rehta taare, lotu mai angaare
khud se ladta phirta, yeh jag ko thokar maare
khinche khinche baithe baithe baithe bhaage
na sunta khudke aage yeh pagal ho gaya re
paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
jiske peeche bhaage woh saaya hai re saaya
kya kya raste dhundhe, kya kya dukh na paaya
par saaya thehra saaya ke haathon me na aaya

hai zindagi muhaal kyun
bana liya yeh haal kyun bata
uljha uljha rehta na sunta na kuch kehta
sooni sooni aankho se reh reh paani behta
toote saare naate haara mai samjhate
bichde din aur saathi phir wapas nahi aate
wapas nahi aate, wapas nahi aate
yeh dard kyun, yeh pyaas kyun
phira kare udaas kyun
yeh rald kyun, talaash kyun bata, banwara

thandi aahe bharke, jeeta hai mar mar ke
kaisa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
dhoke se nazar ke, jhoke se umar ke
ret ke mahal sa deh gaya hai bikhar ke
thandi aahe bharke, jeeta hai mar mar ke
kaisa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
dhoke se nazar ke, jhoke se umar ke
ret ke mahal sa deh gaya hai bikhar ke
mann jaage jaage re
mann jaage jaage jaage jaage, banwara