Pyar Se Kab Inkar Kiya Lyrics | Boond Jo Ban Gaye Moti

                        
                        Haa maine bhi pyar kiya, pyar se kab inkar kiya
Bhigi bhigi rate mithi mithi bate
Aur maine dil ko nisar kiya
Haa maine bhi pyar kiya

Ha maine bhi pyar kiya, pyar se kab inkar kiya
Bhigi bhigi rate mithi mithi bate
Aur maine dil ko nisar kiya
Haa maine bhi pyar kiya

Pyar kiya hai kaliyo ke mahkate ango se
Pyar kiya maine gul ke gulabi galo se
Pyar kiya nargis ki nashili aankho se
Pyar kiya badli ki rangili julfo se
Khuli chadni me maine
Khuli chadni me maine bhi abhisar kiya
Haa maine bhi pyar kiya
Haa maine bhi pyar kiya
Pyar se kab inkar kiya
Pyar se kab inkar kiya
Bhigi bhigi rate mithi mithi bate
Aur maine dil ko nisar kiya
Haa maine bhi pyar kiya

Tham liya sine pe uchalti laharo ko
Jhum utha baho me pakad tufano ko
Chum liya bijali ke machalte hotho ko
Lut liya maine mast ubharti baharo ko
Raat ki dulha ka
Raat ki dulha ka maine sindur kiya
Haa maine bhi pyar kiya
Haa maine bhi pyar kiya
Pyar se kab inkar kiya
Pyar se kab inkar kiya
Bhigi bhigi rate mithi mithi bate
Aur maine dil ko nisar kiya
Haa maine bhi pyar kiya
Pyar se kab inkar kiya.