Hans Ke Guzari Zindagi Lyrics | Brahma

Lyricist : Prayag Raj
Music Director : K Subhash , Bappi Lahiri
Singer : Kumar Sanu
                        
                        Hans ke gujare zindagi hai wahi admi
Pyar se sware zindagi hai wahi admi
Muskilo se darta nahi dusmano se kare dosti
Hai wahi admi
Hans ke gujare zindagi hai wahi admi
Pyar se sware zindagi hai wahi admi

Mera tera kahta hai lekin tera kuchh nahi
Sab to diya hai khuda ne par tu khus nahi
Mera tera kahta hai lekin tera kuchh nahi
Sab to diya hai khuda ne par tu khus nahi
Jinko kabhi kuchh na mila unke liye kuchh kar ke ja
Kam aisa kar jaye jo wo mar ke bhi marta nahi
Hai wahi admi
Hans ke gujare zindagi hai wahi admi

Pyar se saware zindagi hai wahi admi

Dher tha ek mitti ka jisme dali jaan
Rup mila iswar ka or bana insan
Dher tha ek miti ka jisme dali jaan
Rup mila iswar ka or bana insan
Sab ko de pyar sabse le pyar
Gum ke jaha mein le aya bahar
Khud jo andhere mein chale
Dusro ko de roshni
Hai wahi admi
Hans ke gujare zindagi hai wahi admi
Pyar se sware zindagi hai wahi admi
Muskilo se darta nahi dusmano se kare dosti
Hai wahi admi.