Aaja Milke Lyrics | Chamku

                        
                        aaja milke hum baant le duriya, tanhaaiya
dhadkano mein bajne lagi ansuni shehnaaiya
saj rahi hai ab aankhon mein
pyaar ke khwaabo ki parchhaaiya
aaja milke hum baant le duriya, tanhaaiya

na koi khushbu thi, na koi mausam tha
har lamha jindagi viraan thi
chaaron taraf se bas gham ka andhera tha
tanha tha, har khushi anjaan thi
tujhko paake khone lagi
ab dur tak phaili hui viraaniya
saj rahi hai ab aankhon mein
pyaar ke khwaabo ki parchhaaiya
aaja milke hum baant le duriya, tanhaaiya
dhadkano mein bajne lagi ansuni shehnaaiya

julfon ke saaye mein tera basera ho
palko mein din dhale ab raat din
main alvida keh du saare jamaane ko
sochu na, tu mere jab saath ho
hum jubaan se jo na kahe
wo keh rahi ye waadiya, khaamoshiya
saj rahi hai ab aankhon mein
pyaar ke khwaabo ki parchhaaiya
aaja milke hum baant le duriya, tanhaaiya
dhadkano mein bajne lagi ansuni shehnaaiya
saj rahi hai ab aankhon mein
pyaar ke khwaabo ki parchhaaiya
aaja milke hum baant le duriya, tanhaaiya.