Kisine Jaadu Kiya Lyrics | Chand Aur Suraj

Lyricist : Shailendra
Music Director : Dulal Guha , Salil Chowdhury
Singer : Mukesh
                        
                        Kisii ne jaaduu kiya mai karu kya
Meraa man moh liya mai karuu kya
Kisii ne jaaduu kiya mai karu kya
Meraa man moh liya mai karu kya
Kisii ne jaaduu kiya mai karu kya

Kar ke ghaayal vo mujhe bekhabar hai
Meri aahe bhi vahaa beasar hai
Kar ke ghaayal vo mujhe bekhabar hai
Meri ahe bhi vahaa beasar hai
Kuub hai ye ada mai karuu kyaa
Kisii ne jaaduu kiyaa mai karu kya
Meraa man moh liya mai karu kya
Kisii ne jaaduu kiyaa mai karu kya

Raat mushkil se kate din hai bhaarii
Raat mushkil se kate din hai bhaarii
Sadaa aankho me rahe chhab vo pyaarii
Raat mushkil se kate din hai bhaarii
Jiinaa ab unake binaa huaa mushkil
Jaan hai uname basii unhi ka dil
Mujhe kyaa ho chalaa mai karu kyaa
Kisii ne jaaduu kiya mai karu kya

Pyaar chhupataa nahii mai kya chhupaauu
Kahe to chiir ke dil mai dikhaauu
Pyaar chhupataa nahii mai kya chhupaauu
Kahe to chiir ke dil mai dikhaauu
Husn de ke bhala mai karu kya.