Nigahein Ruk Gayin Haye Kahan Par, Kaise Baje Dil Ka Sitar Lyrics | Chandni Raat

                        
                        nigaahe ruk gayin haay kahan par
tadap kar rah gaya nagama zuban par
dhuwaan sa uth raha hai aasaman par
giri bijali kisi ke aashiyan par

kaise baje dil ka sitar theins lagi tut gaye tar
bita huwa jiwan ka pyar hay koyi aaj gaya har
dil kahin aawaz kahin nagama kahin saz kahin
dil kahin aawaz kahin nagama kahin saz kahin
dekh ye ghabaraayi nazar dekh ye ghabaraayi nazar 
khol na de raz kahin khol na de raaz kahin
o aaj kahe dil bar-bar naiya meri kaise lage paar

dil me chhupaye huye gam kaise rahun rah na sakun
tut pade mujh pe sitam aur main kuchh kah na sakun
dil me chhupaye huye gam kaise rahun rah na sakun
tut pade mujh pe sitam aur main kuchh kah na sakun
o git me hai dil ki pukar gaye ja tu saajan ke dwar