Woh Koi Aaya Lachak Uthi Kaya Ke Dil Mera Bas Me Nahi, Sarmau Na Aakh Balkhau Lyrics | Dastaan

                        
                        wo koi aaya lachak uthi kaya ki dil mera bas me nahi
wo koi aaya lachak uthi kaya ki dil mera bas me nahi
sharamau lakh bal khau ki jaise par bina mai udti jau
ki dil mera bas me nahi wo koi aaya lachak uthi kaya
ki dil mera bas me nahi sharamau lakh bal khau
ki jaise par bina mai udti jau ki dil mera bas me nahi
wo koi aaya lachak uthi kaya ki dil mera bas me nahi

jiske liye jindgi phul chunti thi
jiske liye mai sada khwab bunti thi
rato ko mai dhadkane jiski sunti thi
aaya wo murade liye jadu bhare wade liye
nachu machal kar gau ki dil mera bas me nahi
wo koi aaya lachak uthi kaya ki dil mera bas me nahi

moti bharu aaj main apne balo me
taro ke lau jag uthe naram galo me
aaya hai din aaj ka kitne salo me
sochu to lahak uthu phulo si mahak uthu
nachu machal kar gau ke dil mera bas me nahi
wo koi aaya lachak uthi kaya ke dil mera bas me nahi
sharamau lakh bal khau ke jaise par bina mai udti jau
ki dil mera bas me nahi wo koi aaya lachak uthi kaya
ki dil mera bas me nahi