Indian Film History

Kya Yun Hi Rooth Ke Lyrics

From Door Ki Awaz (1964)

Music
Ravi
Duration
3:23
banaa ke mera mukaddar bigadne vaale jawaab de o mera ghar ujaadne vaale kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi aankh me khwaab lab pe kahaani teri aankh me khwaab lab pe kahaani teri mujhko tadapaati hai din-raat nishaani teri kyaa mujhe tune rulaane ko mohabbat ki thi zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi o mujhe bhulne vaale tu kaha hai aajaa o mujhe bhulne vaale tu kaha hai aajaa kyaa hui mujhse khataa ye to zaraa batlaa jaa yaa ye kah de ke dikhaane ko mohabbat ki thi zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi

More songs from Door Ki Awaz

Kya Yun Hi Rooth Ke Lyrics - Door Ki Awaz (1964) | Indian Film History