Indian Film History

Laadli Lyrics

From Dulhaniya Le Aaeegi (2026)

Duration
3:04

Aaankhein Ud Jaana Saave

Jag Ka Jaane Kaisa Bair

Tak Rahegi Munder

Ab Toh Pal Do Pal Ki Der


Paalna Jhulaaya Tha

Kaandhe Pe Bithaaya Tha

Sapno Ko Tune Par Lagaaya Tha


Mele Mein Ghumaaya Tha

Bahaane Se Khilaaya Tha

Kitne Mausam Laad Ladaaya Tha


Kehte The Na Baba

Betiyaan Kabhi Parayi Na Hoti

Dil Mein Rehti Hai Juda Nahi Hoti


Laadli O Laadli Tera Ye

Laadli O Laadli Tera Hai Ye Ghar

Tera Hi Rahega Ye Sada


Aaankhein Ud Jaana Saave

Jag Ka Jaane Kaisa Bair

Tak Rahegi Munder

Ab Toh Pal Do Pal Ki Der


Phoolon Sa Savaara Tha

Mujh Pe Hi Sab Vaara Tha

Aasmaan Ka Tere Main Sitaara Tha


Yun Gale Lagaaya Tha

Dil Mera Bhar Aaya Tha

Jeene Ka Saleeka Sikhlaaya Tha


Kehte The Na Baba

Betiyaan Kabhi Parayi Na Hoti

Dil Mein Rehti Hai Juda Nahi Hoti


Laadli O Laadli Tera Ye

Laadli O Laadli Tera Hai Ye Ghar

Tera Hi Rahega Ye Sada

Ho Tera Hi Rahega Ye Sada.....

More songs from Dulhaniya Le Aaeegi

Laadli Lyrics - Dulhaniya Le Aaeegi (2026) | Indian Film History