Thirchi Nazar Se Yun Na Dekh Lyrics | Ek Phool Char Kante

                        
                        tirchhi nazar se yun na dekh
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

o hasin jalpari
aankh hain surma bhari
chaal se baras rahin hain mastiyaan
yun nazar utha na tu
aise muskura na tu
dil pe gir padengin lakh bijliyaan
aashiqo mein hum to hain nek
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

ye bhanve kamaam hai
ismein laakh baan hai
chal gaye to sabki jaan jaayegi
husn ki ye mehfilein
ishq ki ye manzilen
suni suni phir to rah jaayengi
dil mera indian make
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh

raahi tere waaste
bhul rahe hain raaste
tujhko paana ek haseen khwaab hai
tu hai phul pyaar ka
geet hai bahaar hai
husn waale tera kya jawaab hai
mit rahaa hai koi tujhpe to koi ek
palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh

palat palat ke yun na dekh
mar jaaye raahon mein dilwale
aisi nazar se tu na dekh
tirchhi nazar se yun na dekh