Kisi Ne Aaj Mohabbat Ko Aajmaya Hai (Chale Bhi Aao) Lyrics | Ek Saal

Lyricist : Prem Dhawan
Music Director : Devendra Goel , Ravi
Singer : Lata Mangeshkar
                        
                        kisi ne aaj mohabbat ko aajmaya hai
wafa ko aaj nibhane ka vaqt aaya hai
pukar sun ke chale aao do ghadi ke liye
badi tamanna se hamne tumhe bulaya hai
chale bhi aao, chale bhi aao
chale bhi aao

chale bhi aao, chale bhi aao
tumhe kasam hai, chale bhi aao, chale bhi aao
chale bhi aao, chale bhi aao
tumhe kasam hai, chale bhi aao, chale bhi aao

usi se kahte hain baat dil ki
ki jisko samjhe kuchh apna apna
usi se kahte hain baat dil ki
ki jisko samjhe kuchh apna apna
mita na dena bharam ye mera
na tod dena ye pyara sapna
chale bhi aao, chale bhi aao
tumhe qasam hai, chale bhi aao, chale bhi aao

na aaye tum to kahegi duniya
ye naaz jhutha ye pyar jhutha
ye pyar jhutha
na aaye tum to kahegi duniya
ye naaz jhutha ye pyar jhutha
ye pyar jhutha
ye dil ki dhadkan hai ek dhokha
nigah ka intazar jhutha
chale bhi aao, chale bhi aao
chale bhi aao, chale bhi aao