Shama Bujhane Ko Chalei Lyrics | Ganga Ki Laharen

                        shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

hai yahi dard ki jal jaye patanga na kahi
shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

usane chaha ki mera, chahanewala toh rahe

mai rahu ya naa rahu, ghar kaa ujala toh rahe
apne pritam ke liye, chhod di pritam ki gali
shama bujhane ko chali, shama bujhane ko chali 

bhulakar sabako bas ik, apni vafa sath liye

apne hi ashkon me bhigi huyi ik rat liye
gam ke tufan me ghiri thokare khati nikali