Swarg Se Sunder Lyrics | Ghar Dwaar

                        
                        Swarg se sundar sapno se
Pyara hain apna ghar dwaar
Swarg se sundar sapno se
Pyara hain apna ghar dwaar
Hum par rahe barsata
Sada tumhara pyaar
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute

Ghar angan mein khele
Mere sooraj chanda taare
Ghar angan mein khele
Mere sooraj chanda taare

Inke liye hain jeena mujhko
Ye jaan se pyare
Kaha milegi aisi mamta
Itna pyaar dulaar
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute

Maat peeta tum mere
Tum sathi sang sahare
Maat peeta tum mere
Tum sathi sang sahare
Tumse mila hain jeevan
Tum ho bhagwan humare
Janm mein sakti godh humari
Humko mile ghar baar
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dawaar na chhute
Swarg se sundar sapno se
Pyara hain apna ghar dwaar
Hum par rahe barsata
Sada tumhara pyaar
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute

Humko inhi charno mein
Humko inhi charno mein
Jeevan ke mile sukh sare
Inki hi pooja se
Jaage hain bhaag humare

Inki hi pooja se
Jaage hai bhaag humare
Inki seva kar na sake
To jeevan hain bekar
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute
Tumhara pyar na ruthe
Kabhi ghar dwaar na chhute
Tumhara pyar na ruthe.