Nikla Hai Gora Gora Chaand Lyrics | Guest House

                        
                        Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Jaagun mein to saari
Saari raat re balamwaa
Ghadi ghadi dekhun darwaza
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja

Odhi hai chunariya taaron ki
Maanga hai kaajal raat se
Odhi hai chunariya taaron ki
Maanga hai kaajal raat se
Ab to ye ghunghat kholo ji
Saajan apne haath se
Kab se hun baitthi
Sapne sajaa ke aa ke
Zara jhalak dikha jaa
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Jaagun mein to saari
Saari raat re balamwaa
Ghadi ghadi dekhun darwaza

Din to guzar gaya baaton mein
Raat na kaati jaaye re
Din to guzar gaya baaton mein
Raat na kaati jaaye re
Jab tak piya tujhe dekhun naa
Ankhiyon mein neend na aaye re
Utri chandaniyaa mori re atariyaa
Chanda mere mukhdaa dikha jaa
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Jaagun mein to saari
Saari raat re balamwaa
Ghadi ghadi dekhun darwaza

Keh de koi ji is chanda se
Aaj ki raat wo jaaye na
Keh de koi ji is chanda se
Aaj ki raat wo jaaye na
Chamke wo mere aangan mein
Jab tak saajan aaye na
Yaad teri aaye re
Badaa tadpaaye re
Ankhiyon ki pyaas bujhaa jaa
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Nikla hai gora gora
Chaand re sajnwa
Kar ke jatan koi aa ja
Jaagun mein to saari
Saari raat re balamwa
Ghadi ghadi dekhun darwaza.