Kabhi Palke Jhukati Ho Lyrics | Hameer Hatth

                        
                        kabhi palke jhukati ho
kabhi ghunghta uthati ho 
bata do baat wo kya hai
jise humse chhupati ho 
kabhi tum gungunati ho
kabhi tum muskurati ho
bata do baat wo kya hai
jise humse chhupati ho 

jhuki palke sunati hai tumhare dil ka afsana
tumhara kah raha ghunghat hua hai dil ye diwana
tumhari gungunahat me chhipa hai raaz anjana
tumhari muskurahat sochti hai humko bharmana
kabhi khud se lajati ho
kabhi khud se lajati ho
kabhi humko banati ho 
bata do baat wo kya hai
jise humse chhupati ho 

jiya ki baat ko dil me chhupaya ja nahi sakta
hai tumse pyar to humse churaya ja nahi sakta
sitara todkar dharti pe laya ja nahi sakta
zamane ke riwajo ko bhulaya ja nahi sakta
riwajo se darati ho
riwajo se darati ho
badi baate banati ho 
bata do baat wo kya hai
jise humse chhupati ho 

nigahe char hoti hai najre sapne sanjoti hai
milan ke geet se jag me nirali reet hoti hai
kisi ki haar hoti hai kisi ki jeet hoti hai
kisi ki preet hansti hai kisi ki preet roti hai
hume hansna sikhati ho
hume hansna sikhati ho
nayi manzil dikhati ho
bata do baat wo kya hai
jise humse chhupati ho