Almadad Chere Khuda Lyrics | Hastey Hastey

Lyricist : Sameer
Music Director : Ashutosh Bajpay , Anu Malik
Singer : Zubeen Garg
                        
                        almadad chere khuda, almadad chere khuda
mera yaar na ho mujhse juda
mera yaar na ho mujhse juda
almadad chere khuda
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin

aarju keh rahi
mere mehboob ka meri najro ko deedar de
iltja hai yahi, jindagi se mila de mujhe
ya mujhe maar de
bikhare sapne tutke, soje dil ki raah mein
dar dar bhatka main yaha
dilruba ki chaah mein
sun jara sun jara, dhadkano ki sada
almadad chere khuda, almadad chere khuda
mera yaar na ho mujhse juda
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin

hastey hastey, hastey hastey
hastey hastey, hastey hastey

har ghadi har jagah
sochta hoon usi ke hi baare mein ab raat din
mujhko hai ye pata
reh sakegi na wo bhi akele kahi mere bin
saaya ban ke sang hai
yaadon ki parchaayiyaan
har lamha dasne lagi, naagin si tanhaayiya
bebasi har kadam, waqt hai bewafa
almadad chere khuda, almadad chere khuda
mera yaar na ho mujhse juda
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin
main yaar bin, main yaar bin
main mar javanga yaar bin

hastey hastey, hastey hastey
hastey hastey, hastey hastey.