Dooba Dooba Lyrics | Helicopter Eela

                        
                        sur ho meri saanson mein lai teri dhadkan mein
doob jayein chal kisi anjaane sargam mein

alfaaz jo mosiki mein ghul jaaye
ik taar ki hum taar bann thar rayein
ik geet bann jayein

dooba dooba mann dooba dooba mann
dooba dooba mann re khumaar mein

khoya khoya mann
khoya khoya tere pyaar mein

ayeena jo dekhoon to akas tera hi dikhe
dil mera aur dhadkan ho teri
baal meri palak ka aur khwaishein ho teri
ho neend meri loriyan hon teri

ho kyun na hum ik khwaab bann jayein

dhoop tu aur chhawn main dono ik angan mein
bheed jayein chal kisi anjaane mosam mein
ehsaas yeh jazbaaton se mil jaayein

firte rahein yuhi hum bhar bahein
ik geet bann jayein

dooba dooba mann dooba dooba mann
dooba dooba mann re khumaar mein

khoya khoya mann
khoya khoya tere pyaar mein